Poetry Club

Welcome To  Poetry Club

Ishq 

💞💞 Tere ek hukum par sab kuch chhodne ko teyar the ham,
 Tere ek hukum par sab kuchh chhodne ko teyar the ham,
              Tazub to tab hua jab tum hi hame chhodkar chale gaye.....
            Tere sath ke liye to sab kuchh bhulane ko teyar the ham,
         Tere sath ke liye to sab kuch bhulane ko teyar the ham,
             Tazub to tab hua jab tum hi hame bhula kar chale gaye.💞💞  

        Chhoti Si Aarju

💓 Bas itni si hai meri aarju,
                     jindagi khatam ho usse pahle ho jaye rubru ..... 💓   


              Jindgi Ka Panna

jindagi ke panno par roz nai kahani likhti hu,
              kabhi koi dastaan adhuri naa rah jaye  isiliye darti hu.                                                                                

Manzil

 Manzil hamari abhi to dur hai,
  par pahuchna to jarur hai ,
    raste kese bhi hamko mile,
shuru karenge kamyabi ke silsile,
 naa kabhi hamko harna hai bas jeet ki 
            aur badhna hai, manzil hamari abhi bhi dur hai, 
  par fir bhi pahuchna to jarur hai.

           Dosti       

 Har pyar ki shuruaat dosti hai per 
dosti Ke Liye Pyar Jaruri Nahin
 Pyar Ka to pata nahin per Jindagi Mein 
Kuchh dost Aise Bhi Rakho Jo Har 
Mushkil Mein sath de....

Dua 

kesa mera yeh naseeb hai, 
mout bhi nhi aati kareeb,
kisi apne ki dua ka hai asar,
jiski nhi hai shayad mujhko khabar,

A  Zindagi

A zindagi bas kuchh  pal li hai tu.
jiski to sirf main ek mehmaan hu.
kyu manmutav rakhu kisi ke sath.
jabki yha se jana hai khali hath...

Adhuri Kahani

Har premkahani milan ke sath puri ho
yeh jaruri to nhi.
kuch premkahaniya adhuri hokar bhi
puri hoti hai .💓

Kismmat

Yeh kismat bhi na bade ajab gajab rang dikhati hai.
koi lakh jatan kar le samajh nhi pata hai.
iske khel to dekho. 
kuye ke pas pahuch kar bhi insan pyasa hi
rah jata hai..........😞

Chand🌝

Chand khush hai kyuki use apni chandni par gurur hai.
ham kis par gurur kare .
hamara to chand hi hamse dur hai......

Duriya

Yeh duriya nazdikiyo se achhi hai ....
saheb 😎
kam se kam inme dur hone ka dar to nhi hai.
aankho se nhi dil se mehsus kijiye
ham bhi whi hai aur hamara dil bhi whi hai...

Dildaar

Ummid na thi mujhe wo sunne ki.
jo bat aapne isharo me keh di hai.
bas taarif me itna hi kahungi.
ki - ' mera pyar bhi nirala,
dildaar bhi nirala.
aur uske bayan-a-ishq ka andaz bhi
nirala.

Kismat Ki Meharbaani

 Kuch baate lafzo ki mohtaaz nhi hoti...
dil ke ehsaso koi  zuban nhi hoti...
ishq to har dil me deta hai dastak...
par kismat san par mehrbaan nhi hoti.

Dil ki Dor

Yuhi nhi milte do aznabi, anjane se
 safar me.
kahi na kahi unki manzilo ka milna tay
hota hai.
yuhi nhi jaga karte yeh arman kisi ke l
liye.
dil kisi andekhi, anjani dor se jarur bandha
hota hai.

Sanam re


'Pas wo mere itne ki duriyo ka ehsas nhi.
fir bhi naa jane kyu.
wo mere pas hokar bhi pas nhi.
ahsaaso se bandhe hai do dil magar.
unhe apne hi dil ke ehsaso ka ehsas nhi..'


Aakhir kyu

'Aakhir kyu bas jate hai dil me
bina ijajat liye.
wo log jinhe ham jindgi me kabhi
bhi paa nhi sakte.'

Kash...

''Kash mehsus kar pate meri chahat ko.
kash
sun pate meri dhadkano me apne nam ko.
kash
dekh pate apni surat meri nigaaho me.
magar
afsos tumhare pas wo nazar hi nhi.
tum ho bekhabar...
tumhe to kuchh khabar hi nhi.''

Mobbabat

''Aksar jin logo ke dil me mohhabat ka 
athah sagar chhipa hota hai.
wo log nigaaho me gusse ka sailab liye
firte hai.''

Bekhabar Sanam

''Manzil samne hai magar kadam 
hai thahre se.
aankhe karti hai bayan magar hoth 
hai sile se.
jo bas chuke hai dil me dhadkan
ki tarah.
kyu hai wo hamare jajbato se 
bekhabar

Kesi Yeh Mohbbat

''Aksar jin logo ke dil me mohbbat ka
 athah sagar chhipa hota hai.
💓
Voh nigaho me gusse ka sailab
 liye firte hai ..''


Kohinoor 

'' Voh mil ska na mujhko,
jo tha meri aankho ka noor.
kuchh marji rab ki. kuchh ishq ka kusur.
sachhe ishq ke sathi- 
hamne mana hai yhi dastoor.
mile to heera.... na mile to kohinoor......''

Ummido Ka Aashiyana

''Bikhre huye tinke bator kar
 aashiyana ek banayenge.

Tere labo ki hasi dekh kar
ham bhi muskurayenge.

Mana khoi hai raah abhi....
mana manzil dhundhlaai hai.

Par ummido ki patwar liye 
kasti ko paar lagayenge.

Bikhre huye tinke bator kar
aashiyana ek banayenge.''

Ji lo zindagi firse

''Aahista aahista main fir muskurane 
lagi hu.
Jakar dur tujhse khud ko paane 
lagi hu.
Gamo ki basti chhod kar khushiyo se rishta
banane lagi hu.
Apne bhige sirhane fir se sukhane 
lagi hu.
Tere khwabo ki duniya se dur haqikat me
aane lagi hu.
Tute se aashiyane ko ek baar fir sajane
lagi hu.
Muskura kar apne gam chhipa rahi hu.
dekh jindagi..
tujhe kese main pal pal hara rahi hu...''

Fariyaad🙏


'' Har khamosi me koi na koi baat
 hoti hai. 
Har dil me kabhi na bhulne wali ek yaad
hoti hai.
Voh jane ya na jane magar unki khusi
ke liye.
Har pal is dil me ek fariyaad
hoti hai.''

Chahat💕

Tumhe badi shiddat se chahe hai
 hamne.
tumhe badi mannato se paya hai
hamne.
tumhe bhulna to ab mumkin hi nhi
kyuki
tumhe hatho lakiro se churaya hai
hamne..''

Ishq ke imtehan

'' Itni aasani se nhi mila karti
mazile.
ishq ke diwano ko 💑
Raah-A-Mahobbat me in ishq ke
musafiro ka imtehaan
abhi baki hai.''

Unki yaad

'' Unka aashiya dil me basaya hai.
unki yaad ko seene se lgaya hai.
na jane yaad aate hai vo hi kyu,
dost to hamne auro ko bhi banaya 
hai..''

Teri kami 😔

'' Meri zindagi me bahut kuch khas hai
magar
tanhaai ke siwa kuch na pas hai.
Paa to lete jamane ki har khushi,
magar
har khushi me teri kmi ka ahsaas
hai...''

💓Tujhse hi pyar 💓

'' Yeh dil dhadka tere hi liye,
fir ek bar.
Teri mahobbat hi rooh me utri,
fir ek bar.
Tu hi shamil hua mere apno me,
fir ek bar.
Mujhe pyar hua sathi tujhse hi,
fir ek bar..''

Manzil

'' Aa rahi hu zindagi karne tujhse
do do hath.
tu rula  A Zindagi - likh de 
jamane bhar ke dard
mere hisse.
bhar de apne saare aansu meri 
aankho me.
bichha de kate meri raaho me.
magar
me fir bhi muskuraungi.
tere dard ki hasi udaungi.
tujhe har pal haraungi.
fir
ek din pakar apni mazil,
 apni khushiya wapas dhundh
laungi...''

Akela Insan

'' Akela jina hai muskil,
akela marna hai muskil.
akela insan kisi ka sath sahara 
dhundhta hai.
zindagi me kisi ka sath 
dhundhta hai.
kandhe par kisi ka hath dhundhta hai.
dur ho ya pas kuch fark nhi
rishte hamesha bne unka.
ahsaas dhundhta hai jine ke liye bas
rishto ka ehsaas hi kafi hai..''

Kash....

Kash koi hota....
💞jo hame jaan pukarta.💕
kash koi hota...
💞jo hamari parwah karta.💕
kash koi hota....
💞jo dukh me hasata.💕
kash koi hota....
💞jo har pal sath nibhata.💕

Tera sath👫

''Zindagi apne hisab se chal rahi
me apne hisab se chalane ki koshis kar
 rhi hun.
isi kasmakash me do char sanse
le rahi hu.
yah ek tera sath hi hai ki me itna ji
 rahi hu...''

Yaade💑

''Ab kisi gair se dillagi na karenge.
tum hame chhod bhi doge .
to
tumhari yaado se ishq karenge.''

💥Yun na rootha karo💥

''Tum jo yun rooth gaye
to
kise apna kahenge.
kisko itna presan karenge.
kisse dil ki bat karenge.
gar chahte ho hamse dur jana.
to kasam khuda ki
ek baar bhi rukne ki fariyaad
naa karenge..''
























Comments

Popular posts from this blog

Sad and Emotional Poetry By Kavita Rathore